Monday, August 1, 2011

kasab- Guilty or Guest

din 26/11/2008   wedness day    sabhi log  apne apne kaam me mast  kuch log   gharo mai  kuch log office  aur kuch log  India aur England  ke match mai mast the. Mumbai ki charr jagah   CST , The TAJ Hotal , Hotal Oberay  , Nariman Point pe  log apne sadharan dino ki tarh kaam me masgul the  raat karib 9.00 pm per  CST pe goliyoon ki avaj aati hai aur kuch aatankwadi mumbai mai aatank phailane ko tayaar ho jate hai..
ve sabhi road se bhagte huye apne apne gole par jaqate hai.isi bich unhe kuch polish wale bhi milte hai jo unhe rokte hai per unhe maar diya jata hai. unme se kuch taj hotal jate hai  kuch hotal oberay mai aur sabhi  apne kaam ko anjam dene lagte hai. ye sab  kuch jis samay hua tha usi wakt india eng. ke sath match bhi chal raha tha aur log is sab se bekhabar tha jab match khatm hota hai aur log bharat ke jitne ki news dekhane ke liye news channel dekhate hai to unhe  iske bare mai pata cahlta hai. kuch samay baad vahan per STF aati hai aur karib 52 ghante tak  morcha leti rahti hai
aur uske baad  vaahn per marine commandos  aate hai aur kuch hi samay mai hi  1 ko chood ke sab ko maar date hai  aur jo bachata hai uska naam  tha  AJMAL KASAB . Kasab ko pakad ke mumbai ke  jain mai rakha jata hai   vahan per  spacial fast track court mai mukadma chalaya jata hai hai aur  usse maut ki saja milati hai yahan tak to sab thik tha. sabhi ne apna kaam imaaandari ke sath kiya ab sarkar ke hanth sab kuch aa jata  hai kerala ke C.M. mumbai hamle me sahid sandeep punnikrisnam ke ghar apni rajniti dikhne jatee hai  aur jab vahan koi baat nahi banti tab bolne hai ki vahan per to kutta bhi nahi jata  to kya ve kutte hai . vaise bhi jo unka samman nahi karta kutte se bhi gira hua hota hai kyoki kutta bhi apne surakcha karne wale ke uper kabhi bhokta nahi hai. pure bharat mai  kaha jata hai ki  loktanta hai per yahan per sach mai to nate tantra hai jo neta chahte hai vahi hota hai aur vo kabhi aisa kaam nahi karte jisse unke voto mai koi kami aaye bhale hi vah kaam desh ke hit mai ho. is baat ka pata un atankwadio ko pahale se hi pata hai  isiliyejin aatankwadiyo ko maut ki saja milti hai wo rastrapati ke paas daya ke liye application de dete hai .   sansad ke hamle ka dosi  AFJAL GURU usko kuch saal pahale maut ki saja hui thi per usne bhi rastrapati ke paas ek application de di aur aaj tak  aaram se ji raha hai . Ab baat aati hai kasab ki  kuch din pahale news aaye thi ki mumbai sarkar KASAB ki suraksha ka kharcha nahi utha pa rahi hai . uski suraksha ka daily ka kharcha  karib 1 caror Rs. hai .Aur vah sayad P.M. se bhi  jyada surkchit hai . Sarkar itna Rs. uski suraksha per kharcha kar rahi hai  par use marne nahi degi kyoki aisa karna se uska muslim vote kat jayega. sarkar court pe to dabav banati hai ki vo case ki sunvai jaldi se jaldi kiya kare. abhi taja report ke anusar high court mai 1,00,000 se jyada aur suprim court mai 50,000 se jyada  mamle pade huaya hai. per rastra pati ke paas to sayad 5-10 case hi hoge vo bhi  aatank vadiyon ki  maut se sambandit. aise kon si samasya hai jo unhe maut ki saja dene se rok raha hai. ya sad natao ka hi kamal hai. kisi atnkwadi ki suraksha mai  caror rupee kharch kar sakta hai par jab desh ke logo ki buniyadi saman ki baat aati hai to use mahnga kar deti hai yah kah kar ki  hum ismai subsidi nahi  de payege . 
aaj jab koi  ladka top karta hai to usse pucha jata hai ki vo kya karega to vo ya to  IAS ,engg. ,C.A. ya koi aur kuch banane ko kahega per kabhi bhi koi politics mai aane ke liya nahi kahta hai  isme sirf  gali mohallo ka aavera log hi aana pasand karte hai. isiliye aaj bharat ki rajniti puri tarh se kharab ho chuki hai.
kaha jata hai ki bharat mai lok tantra hai jabki yahan ke logo ko to apna P.M. tak ko votr karne ka right nahi hai. hum apna president  nahi choose nahi kar sakte  hum apne C.M. ko bhi nahi choose kar sakte. to aisa loktrant hi kis kaam ka jismai hume koi right hi na ho. Agar aisa hi raha to kuch samay baad yaahan per aatankwadi aayege to arrest ho ke per rahege gust bankar jinki suraksha ka kharcha hamari aue aapki hi pocket se hi hoga.  So it's time to think that we want a loose constitution & week nation or we want a strong constitution  & protect our country from terror.