Aaj Jammu - Kashmir se lekar Assam aur Mumbai tk sabhi jagah bharat desh mai ashanti faili hui hai. Kahi bahri desh ke aaye hua logo ne sthaniy logo ko maar kar bhaga diya to kahi par ek khas samuday ne wahan par rah rahe logo ko rajnitik sah pakr wahan se bhaga diya aur wahan par pakistaan ka jhanda laga diya to kahi par kuch 50,000 log ekjut hokar danga fasad karte hau media aur police ki gadi ko jalate hai. Lekin is sarkaar ko koi matlib nahi sarkaar so rahi hai aur use kuch lena dena nahi hai. Kal mumbai mai hui hinsa mai media ko bhari nuksaan hua aur 3 news channel ki OV Van tod di gayi jisse media mai gussa tha aur use shant karne k liye pradesh sarkaar ko 23 logo ke khilaaf karywahi karni padi.
![]() |
| mumbai mai hui hinsa ki dauraan jali hui media ki gadi |
Is wakt lagbhag pura bharat hinsa ki aaag se jal raha hai aur ye sab sirf ek khas samuday ki taraf se kiya ja raha hai jo congress ka mukhya vote bank mana jata hai. kuch din pahle ek bade news paper mai chape hue lekh ke anushar Asama mai ho rahi hinsa ke liye puri tarah se congress jimmedar hai. Asaam mai ho rahi hinsha k liye puri tarah se congress hi jimmedar hai neharu ke samay se lekar aaj tak bangladesh se awaidh ruup se ghuspaid karwayi ja rahi hai aur congress is ghuspaid ko badav de raha hai kyu ki yahi log vote de kar congress ko satta mai banaye rakhte hai.
kafi samay pahle is tarah ki ghuspaid ko rokne ke liye rajeev gandhi aur asaam student union ke bich karar hua tha lekin vote ke lalach mai andhi sarkar ne aaj tak is kaar ko lagu nahi kiya hai.
Aur vartmaan ka hamara pradhanmatri mai gandhi ke tino bandar wale gun hai jahan kuch galar hota hai vo hamare pradhan mantri dekhete nahi hai, kuch galat kaha jata hai to usnte nahi hai aur bina soniya ki izazat ke to bolna sayad paap hi samjte hai hamare PM. 2g ghotala hua to hamare PM kahte hai ki unke mantriyo ne unki suni hi nahi aur bhi bahut se faisale hote hai jisme wo kahte hai ki gathbanthan ki wajag se dabaw mai aa kar faisale le liye. Sarkaar ke mantri aur neta jo kisi pad mai nahi hai vo bekar ke bayan diya karte hai aur Party adhyach aur unke palt PM ko kuch fark nahi padta. Bharat desh wah desh hai jahan sadhu santo ko samman diya jata tha aur aaj Manmohan singh ke netratv mai yah haal ho gaya hai ki sarkaar se sambanthit log hi sadhu santo ko chor , baimaan kah rahe hai.
Aaj PM ke kuch na kahne ke karan samaz itna bhrastta ko pachuch chuka hai ki sahu santho ko bhukha rahna pad raha hai desh ke liya. Nishchit rop se PM ne apna swabhimaan bech diya hia aur we puri tarah se ek pariwaar ke isaro per nach rahe hai. Aise mai pradhnmantri ko khud aatm chintam karna chaiye ki kya ve apne pad ka nirwaah imaandari aur puri nispachta se kar rahe hia ? Ya to pradhanmantri ko sakt rop dikhna chaiye aur sabhi nirnay kisi ke dabaw mai na lekar khud ke vivek se desh hit ke liye kare ya to ve apna pad tayag de nahi to jald hi unki immazdaar vaktitv ki chavi bhi kharab ho jayegi.
jai hind jai bharat

No comments:
Post a Comment