Friday, August 10, 2012

Rajnaitik kayar pradhanmantri

Pradhan mantri ki sahi nirnay na lena ki aadat kahi bharat par bhari na pad jaye. ek ke baad ghatiya faisale le kar PM aur sarkaar dono hi aam aadmi ki nazar se girte ja rahe hai aur iska natiza sarkaar ko aagami logsabha chulavo mai dekhne ko mil skta hai.J&K army jawan suicide a small incident: PM  is baar sarkaar ki nishana bhartiya sena ke jawan the jo din raat jag kar hamare desh ki seema ko surakshit rakhte hai aur hum unki wajah se chain se apne gharo mai surakshit rahte hai. Un jawano ke samman ko nazar andaaz karte hue kal hui ek ghatna jisme ek jawan ne aatmhatya kar li thi usese sambandhit question karne par PM ne ise ek choti si ghtna batate hue nazarandaaz karne ko kaha. Ye PM manmohan ka bayan hai. "I requested the honourable house not to have discussion on this subject. This is a small incident which is blown out of proportion. This is not good for the morale of the armed forces," said the Prime Minister. (By- IBNLIVE.IN)

         Aaj sena ke javan tanavgrast ho rahe hai aur sarkaar so rahi ha. Agar sarkaar aise hi soti rahi to ek din hamari surksha tantra per sawaliya nishan lag jayega. Lekin sarkaar ko ise koi matlub nahi hia use to sirf  apna bank bharna hai aur samajsevio ke uper aarop lagana hai. 

       Aisi halat mai sarkaar ko javano ke bich jana chaiye aur unke tanav ka karan jan kar semawarti area mai unke manoranjan aur khel kud ke intazaam karne chaiye. Samay samay per unki counseling karke unko taanv mai jane se rokna chaiye. 
      
         Sarkaar is samay  puri tarah se apne daaitav aur kartav se dur ja chuki hai aur yah ek samvedan rahit sarkaar ban chuki hai. Ab aam aadmi ko desh ki hamat aur sarkar ke pure 10 saal ke kaam ko dekhte hua vote dena chaiye.



                  

No comments:

Post a Comment